iram ke nur se tera makan jalae gae charagh hum the kahan ke kahan jalae gae hamin ko us ne payambar kiya mashiat ka hamin se raaz-e-mashiat magar chhupae gae kabhi to hum pe khulenge khushi ke darwaze isi umid pe hum tere gham uthae gae jo kal talak rahe aasi khitab-e-mahfil mein wo log aaj tere nam se bulae gae ugal rahe the jo lawa gham-e-tassub ka hamare khun se wo aatish-fishan bujhae gae rah-e-hayat mein bhadki hai jab nifaq ki aag magar is aag ka luqma hamin banae gae rafu kiya kiye chaak-e-wafa-o-tar-e-qaba wo ruthte rahe aur hum unhen manae gae