gali gali ki thokar khai kab se khwar o pareshan hain yan apna hi hosh nahin hai kis ko chah ke arman hain fursat ho to aa ke dekho hum aawara-gardon ko kitne ghubar hain is daman mein kitne dil mein tufan hain sab hi un ka adab karte hain chahne wala koi nahin toka ek gustakh ko lekin ab wo khud hi pasheman hain sar jo jhuka us shokh ke aage aur kahin phir jhuk na saka maslak-e-mehr-o-wafa mein waiz hum kafir bhi musalman hain kuchh ko mudawa karna hoga is aashufta-mizaji ka ai gham-e-jaanan! apne parae sab hi tujh se nalan hain wadi o sahra chhod ke jab se tere shahr mein aan base jangal jangal dhundte phirte hum ko sare ghazalan hain ahl-e-zamana ko bas meri ek ruswai yaad rahi warna meri wafa ke jaane kitne aur bhi unwan hain hum ne apni or se khuban kab tum ko bad-nam kiya tum ne jo jo dagh diye hain wo chhati pe numayan hain khair se ab ke ahl-e-sitam ko diwanon se kaam pada dekhen kitni zanjiren hain dekhen kitne zindan hain jo pamal-e-khizan hain ek din khak-e-chaman se utthenge un ka hashr na jaane kya ho jo maqtul-e-bahaaran hain dar na raha mauj-e-bala ka rukh bhi phira duniya ki hawa ka rona kya hai dukh sagar ka us ke hum par ehsan hain ek ek bund jali hai lahu ki tab ja kar ye raat kati tere liye ai subh-e-tarab hum kab se chaak-gareban hain 'mir' ka tarz apnaya sab ne lekin ye andaz kahan 'azmi'-sahib aap ki ghazlen sun sun kar sab hairan hain