hum jo pahunche sar-e-maqtal to ye manzar dekha sab se uncha tha jo sar nok-e-sinan par dekha hum se mat puchh ki kab chand ubharta hai yahan hum ne suraj bhi tere shahr mein aa kar dekha aise lipte hain dar-o-baam se ab ke jaise hadson ne badi muddat mein mera ghar dekha ab ye socha hai ki auron ka kaha manenge apni aankhon pe bharosa to bahut kar dekha ek ek pal mein utarta raha sadiyon ka azab hijr ki raat guzari hai ki mahshar dekha mujh se mat puchh meri tishna-labi ke tewar ret chamki to ye samjho ki samundar dekha dukh hi aisa tha ki 'mohsin' hua gum-sum warna gham chhupa kar use hanste hue aksar dekha