chand tare phul khushbu sab hata do us ke jaisa dusra hai to bata do us key ek taswir hai main ne banai mera ye dil khol ke us ko dikha do aandhi se kah do zara dhire chale ab ghar abhi kuchh dur hai us ko bata do dur se mat dekhna tum ye tamasha aag jo dekho kahin bhi to bujha do main karunga har dua us ke liye hi tum mujhe zahrab ye chahe pila do main ne us ko jo likhe the barha sab raaz rahne do wo sare khat jala do us ko to nafrat hai phulon key mahak se meri mayyat par jo bikhre hain hata do zindagi bhar qarz ye mujh par rahega meri khak us ke mohalle mein uda do