judai ke alam sahna mujhe achchha nahin lagta kisi ko alwidaa kahna mujhe achchha nahin lagta mohabbat ke marahil hon ya maidan-e-adawat ho kabhi jazbaat mein bahna mujhe achchha nahin lagta wo itna khubsurat hai ki us ke jism par saj kar koi zewar koi gahna mujhe achchha nahin lagta suno manzur hain ab to mujhe na-haq sazaen bhi sada mulzim bane rahna mujhe achchha nahin lagta rifaqat ke maani jis ne samjhae mujhe barson ab us ko bewafa kahna mujhe achchha nahin lagta mera to silsila hai khirqa-poshon ke qabile se mujhe mat khilaten pahna mujhe achchha nahin lagta kinaron ki alag hi baat hoti hai 'naim' apni jaziron par sada rahna mujhe achchha nahin lagta judai ke alam sahna mujhe achchha nahin lagta kisi ko alwidaa kahna mujhe achchha nahin lagta mohabbat ke marahil hon ya maidan-e-adawat ho kabhi jazbaat mein bahna mujhe achchha nahin lagta wo itna khubsurat hai ki us ke jism par saj kar koi zewar koi gahna mujhe achchha nahin lagta suno manzur hain ab to mujhe na-haq sazaen bhi sada mulzim bane rahna mujhe achchha nahin lagta rifaqat ke maani jis ne samjhae mujhe barson ab us ko bewafa kahna mujhe achchha nahin lagta mera to silsila hai khirqa-poshon ke qabile se mujhe mat khilaten pahna mujhe achchha nahin lagta kinaron ki alag hi baat hoti hai 'naim' apni jaziron par sada rahna mujhe achchha nahin lagta