hamein koi matlab nahin la-makan se

hamein koi matlab nahin la-makan se
gharaz hai hamein sirf apne makan se

ghamon ka ye aalam hai jaane kahan se
chale aa rahe hain yahan se wahan se

nikale gae hain jo hum aashiyan se
shikayat nahin hai hamein baghban se

kahin barq par bijliyan na giri hon
ye shoala sa uthta hai kyon aasman se

jala hi nahin to dhuan kya uthega
mere narm-o-nazuk dil-e-na-tawan se

barasti nahin musla-dhaar khushiyan
utarti hain ye bund bund aasman se

nazar meri achchhi hai phir ye nazare
nazar aa rahe hain mujhe kyon dhuan se

latakti hai talwar sar par hamesha
bachae khuda aise amn-o-aman se

kisi ki nazar 'khwah-makhwah' lag na jae
budhape mein lagte ho tum naujawan se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close