dil ne thokar kha ke samjha hadisa kya chiz hai gham kise kahte hain dard-e-la-dawa kya chiz hai mahw-e-hairat hun ye duniya se juda kya chiz hai aap ka paigham be-harf-o-sada kya chiz hai is ke mani khud-pasandi ke siwa kuchh bhi nahin dil mein paiham khwahish-e-dad-e-wafa kya chiz hai ab andhera hi andhera hai ufuq-ta-ba-ufuq is haqiqat mein khilaf-e-majra kya chiz hai kufr hai ye sochna bhi karobar-e-ishq mein muddaa kya shai hai tark-e-muddaa kya chiz hai sar hai zeb-e-dar lekin lab tabassum-ashna haq-nawai par main khush hun ye saza kya chiz hai kar-arai-e-sai-e-shauq hai pesh-e-nazar warna socho jumbish-e-parda-kusha kya chiz hai hum raza-e-dost mein raazi hain ye sach hai to phir dekhna hoga ki dastur-e-dua kya chiz hai rafta rafta tum pe sab kuchh aaina ho jaega kya bataun sai-e-tark-e-muddaa kya chiz hai jalwa-gah-e-naz se uthna koi aasan nahin pahle ye dekho yahan zanjir-e-pa kya chiz hai jin ki fitrat na-shanas-e-zauq-e-mohkam hai 'uruj' main unhen ye kaise samjhaun wafa kya chiz hai