rahraw se sarokar na manzil ki khabar hai diwana-e-ulfat hai ki sargarm-e-safar hai wan chah nahin milti hai yan chain nahin hai taskin-e-dil-e-zar idhar hai na udhar hai zarre hain ki garmae hue nur ke tare ek barq-e-tapan hai ki teri rahguzar hai ek ek ada hosh-talab dushman-e-iman wo yusuf-e-sani ba-khuda rashk-e-qamar hai aa mere jahan mein meri duniya ki tamanna ab meri muradon ka jahan zer-o-zabar hai gum-gashta-e-manzil hun mohabbat mein kuchh aisa bikhra hua shiraaza-e-taskin-e-nazar hai 'jauhar' ye gham-e-rah ye dushwari-e-manzil kahta hai mera dil ki qayamat ka safar hai