chandni chup rahi raushni chup rahi meri har baat par zindagi chup rahi hum to ghut ghut ke ek roz mar jaenge is ghutan mein agar aankh bhi chup rahi dard mera bayan un se kab ho saka sher khamosh the shairi chup rahi ek yaqin tha palat aaega wo abhi main to bas us ki rah dekhti chup rahi mujh ko maqtal mein jis roz bheja gaya sochti hun main kyun us ghadi chup rahi main ne 'shahin' jiwan guzara hai yun nind mein baat ki jagti chup rahi