nafi hue the sab isbaat mere din mere haalat aamadani kya shai hai yar kyun hote hain ikhrajat gham shahnai gunjte hi aai yaadon ki baraat adna sa ek mohara main jis ne di thi shah ko mat band mile jab ghar ke dar aangan mein ja leti raat bikhra bikhra mera shauq simti simti us ki zat is mausam tak aai yar biti rut ki gham saughat dil se to nikli lekin honton par aa thahri baat tanha si mere kamre mein bhig rahi hai khud barsat chhoti bahr ke sheron mein kahna mushkil puri baat