haqiqaton ko yahan khwab likkha jata hai yahan andheron ko mahtab likkha jata hai amir-e-shahr ka irshad banta hai akhbar so tishna-lab ko bhi sairab likkha jata hai kisi ko milti hai kashti kisi ko parwaren hamare hisse mein girdab likkha jata hai hamari chikh pe dharta nahin hai kan koi tumhaari uf pe bhi ek bab likkha jata hai main puchhta hun hazaron sawal us se magar jawab mein faqat aadab likkha jata hai main ek aise safar par hun dosto ki jahan musibaton ko bhi asbab likha jata hai