chandni har shab ko karti hai kinara chandni tere khatir munh ko dikhlati hai tara chandni aaj mahtabi pe chadhta hai wo bahr-e-sair-e-mah jaanta hun kuchh tera chamka sitara chandni be-zarurat khush nahin aati jahan mein koi chiz fasl-e-sarma mein nahin hoti gawara chandni tu chadha shab ko jo mahtabi pe bahr-e-chashm-e-bad aasman se utre karne ko utara chandni wasl ki shab ka sama aankhon mein chhaya hai mere mah-ru dekhe na phir waise dobara chandni rote rote dubta hai jab shab-e-furqat mein dil jaanta hun saf dariya ka kinara chandni