kaam kuchh aa na saki rasm-e-shanasai bhi shamil-e-bazm thi shayad meri tanhai bhi kash tu apni talab mein kabhi pahunche mujh tak tera hi aaina hai chashm-e-tamashai bhi sahl mat samjho mere shauq ki nakaami ko muft milti hai kahin izzat-e-ruswai bhi chashm-e-be-khwab mein hai khwab ki surat ek shakhs khud se ghafil bhi hai aur mahw-e-khud-arai bhi khair main to isi qabil tha magar ye to bata zindagi kya tu kisi ko kabhi ras aai bhi