hua hai zer-e-zamin aasman ajib sa kuchh main jis mein rahta hun wo hai makan ajib sa kuchh falak se aata hai ruqa hamare hone ka hai apne mathe pe raushan nishan ajib sa kuchh kahan ka wasl bhala aur kahan ki hasrat-e-wasl har ek lamha hua be-aman ajib sa kuchh ana ki jis se thi ummid wo hai nang-e-ana jise tha hona wahi hai yahan ajib sa kuchh kahan main hota hun aamada kahne sunne par lahu se meri ragon mein rawan ajib sa kuchh main jabr apni tabiat pe jab bhi karta hun dikhai deta hai mujh ko jahan ajib sa kuchh hai tere sheron mein kuchh aisi khush-gumani 'tur' bayan-e-husn hai husn-e-bayan ajib sa kuchh