chandni ka hai badan ya hai badan mein chandni

chandni ka hai badan ya hai badan mein chandni
jab utarta hai utarti hai chaman mein chandni

tirgi jab panw phailae to phir sunna use
bandh kar rakhta hai wo apne sukhan mein chandni

jab bhi likhta hun qalam se phutti hai raushni
ghol di hai kis ne dasht-e-fikr-o-fan mein chandni

yar ki shahr-e-butan mein ek nishani ye bhi hai
chand sa chehra hai us ka aur man mein chandni

raushni ke istiare hain kahani mein sabhi
nam us ka hai kahani ke matan mein chandni

wo sanwarta ja raha hai samne 'tahir-adim'
aur barasti ja rahi hai dil ke ban mein chandni


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close