dil lazzat-e-nigah karam pa ke rah gaya kitna hasin khwab nazar aa ke rah gaya lab tak shikayat-e-gham-e-dil la ke rah gaya un ki nadamaton pe main sharma ke rah gaya mere dil-e-tabah ka aalam na puchhiye ek phul tha jo khilte hi murjha ke rah gaya manzil se dur rahraw-e-manzil tha mutmain manzil qarib aai to ghabra ke rah gaya shoridgi-e-nala-e-gustakh kya kahun is qalb-e-naznin ko bhi tadpa ke rah gaya be-gana-war jab wo guzarte chale gae kuchh be-qarar dil mujhe samjha ke rah gaya un ke huzur lab to mukarrar na khul sake rudad-e-gham nigah se dohra ke rah gaya yun khatm dastan-e-mohabbat hui 'shakil' jaise koi hasin ghazal ga ke rah gaya