chandni raat mein taron ki kahani likkhi jalwa-e-jaanan ki har ek nishani likkhi ho ke hasil na hui aisi siyani likkhi tum ko ek hajat-e-nakaam zabani likkhi main ne har waqt naya dard saheja dil mein us ne afsos meri baat purani likkhi samne aa gaya duniya ke mohabbat ka bharam baat jab nikli to apni hi jawani likkhi narm-o-nazuk lab-o-lahja wo talaffuz ki mithas har kahani mein yahi tarz-e-bayani likkhi lafz khamosh hai ashkon ka labaada odhe mauj-e-dariya ki nahin hum ne rawani likkhi kab se likkha hi nahin kuchh bhi qalam se mere likhne baitha to teri meri kahani likkhi haal-e-dil apna koi dusra likhta kyun-kar dastan apni thi so apni zabani likkhi