charag apni thakan ki koi safai na de wo tirgi hai ki ab khwab tak dikhai na de masarraton mein bhi jage gunah ka ehsas mere wajud ko itni bhi parsai na de bahut satate hain rishte jo tut jate hain khuda kisi ko bhi taufiq-e-ashnai na de main sari umr andheron mein kat sakta hun mere diyon ko magar raushni parai na de agar yahi teri duniya ka haal hai malik to meri qaid bhali hai mujhe rihai na de dua ye mangi hai sahme hue muarrikh ne ki ab qalam ko khuda surkh raushnai na de