zaminen jal rahin hain aur shajar sairab hain sare manazir is nagar ke kis qadar shadab hain sare dhuen mein sans leti tahniyon par chahchahate hain parinde mukhtalif rango ke jo nayab hain sare kahin suraj bhi qaidi hai kisi tarik zindan mein kahin zarre bhi taban surat-e-mahtab hain sare yahan aaseb ki tahwil mein hai nind ki dewi yahan ke log khwabon ke liye betab hain sare dilon mein ek dukh sa hai gharon mein kuchh na hone ka muhayya sari basti ko magar asbab hain sare