garche har samt masail ke hain ambar bahut apni taqrir pe hai shaikh ko israr bahut hum ne mana ki tere shahr mein sab achchha hai koi isa ho to mil jaenge bimar bahut na-sapasi ka samar dar-ba-dari hai yaro yaad aaegi ye tuti hui diwar bahut aaj phir qafila-e-haq ka khuda hafiz hai shahr walon mein nahin jurat-e-inkar bahut hum jo afrang se haare hain to do baaton par waqt ki qadr nahin garmi-e-guftar bahut qissa-e-khair na chhupne ke bahane lakhon khabar-e-bad pe uchhalte hain ye akhbar bahut baat sunne ke liye sirf hawaen 'khalid' baat karne ke liye dost bahut yar bahut