charagh dil ka tha raushan bujha gaya pani ki ban ke sail-e-bala ghar mein aa gaya pani khulus pyar wafa sab usi ke sath gae mohabbaton ke nishan sab mita gaya pani chadha hua tha jo dariya utar gaya lekin hamari unchi imarat dhaha gaya pani bujhegi pyas bhala kya zamin ki ashkon se hamari aankh mein kyun aaj aa gaya pani hui jo barish-e-gham to badal gae manzar zara si der mein kya kya dikha gaya pani dubo hi dega tumhein ab nadi ka ye sailab kahan bachoge ki ab ghar mein aa gaya pani main ab ye shahr-e-hawas chhod kar kahan jaun mujhe to ras yahan ka ab aa gaya pani