dozakh bhi kya guman hai jannat bhi hai fareb in waswason mein meri ibaadat bhi hai fareb dariya o dasht aur samundar bhi hain sarab din ka ujala raat ki zulmat bhi hai fareb tera har ek khayal bhi ek khushnuma guman duniya hi kya khud apni haqiqat bhi hai fareb parchhain ke siwa to nahin hain hum aur kuchh ye rang-o-nur aur ye nikhat bhi hai fareb roz-e-azal ka lamha-e-maujud bhi hai aks yani guzarte waqt ki saat bhi hai fareb wahm-o-guman ke sae hain suraj bhi chand bhi andhi hai soch aur basarat bhi hai fareb hai ye nigar-khana jo khwab-o-khayal sa is aaine mein meri ye surat bhi hai fareb 'arif'-husain dhoka sahi apni zindagi is zindagi ke baad ki haalat bhi hai fareb