charagh-e-anjuman ko ye khabar kya ki manzil kya hai aur rasm-e-safar kya safar mein fikr-e-rahat is qadar kya sajae hain ye tum ne baam-o-dar kya nahin gardish mein ab shams-o-qamar kya na badlenge mere sham-o-sahar kya khulus-e-ijz hai ek shart-e-sajda kisi ka naqsh-e-pa kya sang-e-dar kya mashiyyat kar-farma-e-do-alam to phir ye nek bad kya khair-o-shar kya badhi hai waqt ki raftar kaisi hui hai zindagani mukhtasar kya ada-e-shukr bhi lazim hai 'athar' rahega shikwa-bar-lab umr bhar kya