fasil-e-sabr mein rauzan banana chahti hai sipah-e-taish mere dil ko dhana chahti hai lipat lipat ke shajar ko lubhana chahti hai har ek bel mohabbat jatana chahti hai riyal-e-khwab lutati hai donon hathon se amir-e-shauq mujhe aazmana chahti hai mera hi sina kushada hai chahaton ke tain tufang-e-dard mera hi nishana chahti hai main apne aap ko bhi dekhne se qasir hun ye sham-e-hijr mujhe kya dikhana chahti hai khula ki sahil-e-dariya pe main pahunch hi gaya to ye ana mujhe sahra mein lana chahti hai numu ko rok qalam ko lagam de 'arshad' ki ye ghazal tere parde uthana chahti hai