charagh-e-did jalao ki khwab larzan hain dhuen se shoala jagao ki khwab larzan hain koi ghazal koi naghma koi bahaar ka git faza-e-gham ko sunao ki khwab larzan hain hayat jabr-e-musalsal sahi magar us waqt rabab-o-saz uthao ki khwab larzan hain ba-nam-e-tishnagi lao koi dahakta ayagh ye sard raat jalao ki khwab larzan hain karam ka mehr-o-mohabbat ka zikr kya ab to sitam ke naz uthao ki khwab larzan hain ufuq pe zist ke hangam-e-arzu-e-visal ka mahtab sajao ki khwab larzan hain ye pul-siraat-e-tamanna ki sakht rahen hain qadam sambhal ke uthao ki khwab larzan hain