zindagi khatm bhi hone pe kasak baqi hai ujde ghar mein teri sanson ki mahak baqi hai mere hamdam mujhe bedad se mahrum na kar daman-e-ruh mein zakhmon ki tapak baqi hai mujh ko do chaar ghadi aur bhi jine dije siskiyon ki abhi zakhmon mein sanak baqi hai aas ki shama pighalne ko hai ab to aa ja raat baqi hai sitaron mein chamak baqi hai main kisi wada-faramosh ka aaina hun meri aankhon mein abhi us ki jhalak baqi hai dil-e-zakhmi liye baitha hun azizan-e-kiram aao kuchh aur chhidak do jo namak baqi hai