dhup mein saya bane tanha khade hote hain bade logon ke khasare bhi bade hote hain ek hi waqt mein pyase bhi hain sairab bhi hain hum jo sahraon ki mitti ke ghade hote hain aankh khulte hi jabin chumne aa jate hain hum agar khwab mein bhi tum se lade hote hain ye jo rahte hain bahut mauj mein shab bhar hum log subh hote hi kinare pe pade hote hain hijr diwar ka aazar to hai hi lekin is ke upar bhi kai kanch jade hote hain