charagh-e-husn hai raushan kisi ka hamara khun hai roghan kisi ka abhi nadan hain mahshar ke fitne rahen thame hue daman kisi ka dil aaya hai qayamat hai mera dil uthe tazim de jauban kisi ka ye mahshar aur ye mahshar ke fitne kisi ki shokhiyan bachpan kisi ka adaen ta-abad bikhri padi hain azal mein phat pada jauban kisi ka kiya talwar ne ghunghat mere baad na munh dekhegi ye dulhan kisi ka hamari khak mahshar tak udi hai na hath aaya magar daman kisi ka bajae gul meri turbat pe hon khar ki uljhe gosha-e-daman kisi ka 'bayan' barq-e-bala chitwan kisi ki dil-e-pur-arzu khirman kisi ka