main dara nahin main daba nahin mein jhuka nahin main bika nahin magar ahl-e-bazm mein koi bhi to ada-shanas-e-wafa nahin mere jism-o-jaan pe usi ke sare azab sare sawab hain wahi ek harf-e-khud-agahi ki abhi jo main ne kaha nahin na wo harf-o-lafz ki dawari na wo zikr o fikr-e-qalandari jo mere lahu se likhi thi ye wo qarardad-e-wafa nahin abhi husn o ishq mein fasle adam-e'timad ke hain wahi unhen aitabar-e-wafa nahin mujhe aitabar-e-jafa nahin wo jo ek baat thi guftani wahi ek baat shunidni jise main ne tum se kaha nahin jise tum ne mujh se suna nahin main salib-e-waqt pe kab se hun mujhe ab to is se utar lo ki saza bhi kat chuka hun main mera faisla bhi hua nahin mera shahr mujh pe gawah hai ki har ek ahd-e-siyah mein wo charagh-e-rah-e-wafa hun main ki jala to jal ke bujha nahin