ek tamasha aur dikhaya ja sakta tha mujh ko zinda bhi dafnaya ja sakta tha chidiyon ki aawaz na kanon tak aa sakti ghar mein itna shor machaya ja sakta tha jab tak barf pighalti ya barkha rut aati dariya aur bhi kaam mein laya ja sakta tha tum ne apna rasta khud roka tha warna tum jab aana chahte aaya ja sakta tha chhoti chhoti khushiyan banti ja sakti thin hanste hanste gham apnaya ja sakta tha kitna hi masruf tha phir bhi apni khatir thoda sa to waqt bachaya ja sakta tha jitne waqt mein tum ne ghar aabaad kiya hai utne waqt mein shahr basaya ja sakta tha gardan mein bal aana hi tha phir bhi 'saifi' bojh zara sa aur uthaya ja sakta tha