charagh-e-mah sin raushan-tar hai husn-e-be-misal us ka ki chauthe charkh par khurshid hai aks-e-jamal us ka sanam ki zulf ke halqe mein hai jyun jim ka nuqta ajab hai khush-numa us aariz-e-gulgun pe khal us ka ayan hota hai jyun-kar sarw pani ke kinare par hua yun jalwa-gar aankhon mein qadd-e-naunihaal us ka juda jab sin hua wo dilbar-e-jadu-nazar mujh sin juda hota nahin yak aan khatir sin khayal us ka mujhe hai aarzu dil mein teri chah-e-zanakhdan ki nahin darkar hauz-e-kausar o aab-e-zulal us ka giraftar-e-hawas kya lazzat-e-didar kun pawe juda jo kui hua hai aap sin paya visal us ka 'siraj' ai shola-ru hai kaun sa so main nahin waqif mujhe kya puchhta hai puchh parwane sin haal us ka