roz o shab ki gutthiyan aankhon ko suljhane na de aur jaane ke liye utthun to wo jaane na de surmai gahra khala be-jaan lamhon ka ghubar main na kahta tha gul-e-manzar ko murjhane na de ya dil-e-wahshi pe yun ehsas ki yurish na ho ya bhari aabaadiyon ko aise virane na de aarzu ke qahr se sanson ki kashti ko bacha baadbanon ko hawa ke sath lahrane na de sun raha hun der se jate hue lamhon ki chap ab kisi ko sarhad-e-idrak tak aane na de