nazar ke bhed sab ahl-e-nazar samajhte hain jo be-khabar hain unhen be-khabar samajhte hain na un ki chhanw mein barkat na barg-o-bar mein faiz wo khud-numud jo khud ko shajar samajhte hain unhon ne jhukte hue ped hi nahin dekhe jo apne kaghzi phal ko samar samajhte hain hisar-e-jaan dar-o-diwar se alag hai miyan hum apne ishq ko hi apna ghar samajhte hain kushada-dil ke liye dil bahut kushada hai ye main to kya mere diwar-o-dar samajhte hain meri harif nahin hai ye nil-gun wusat aur is faza ko mere baal-o-par samajhte hain akela chhodne walon ko ye batae koi ki hum to rah ko bhi ham-safar samajhte hain tujhe to ilm ke do chaar harf le baithe samajhne wale yahan umr bhar samajhte hain samajh liya tha tujhe dost hum ne dhoke mein so aaj se tujhe bar-e-digar samajhte hain jo aashnai ke khanjar se aashna hain 'saud' wo dast-e-dost ke sare hunar samajhte hain