raushni meri hua chahti hai bas wo darwaza khula chahti hai qatl hone se bacha chahti hai meri tanhai dua chahti hai bel ziddi hai junun ki meri wo lipatne ko hawa chahti hai ghar ka darwaza kabhi khulta nahin phir bhi dahliz diya chahti hai meri takhliq khafa hai mujh se meri pahchan juda chahti hai dil ye chahe ki main ruthun us se ruh kyun zabt-e-ana chahti hai kash gulshan ne ye puchha hota kaun sa phul 'saba' chahti hai