ye haqiqat majaz hai phir bhi

ye haqiqat majaz hai phir bhi
jaane kyon dil-gudaz hai phir bhi

waqt ke hath mat khai hai
aql par apni naz hai phir bhi

raat din jhut lut makr-o-fareb
panj-waqta namaz hai phir bhi

chhed karta hai mah-jabinon se
aadmi pak-baz hai phir bhi

hum faqat do qadam samajhte hain
garche manzil daraaz hai phir bhi

go nahin koi mail-e-tauba
dar-e-tauba to baz hai phir bhi

kaam 'azad' kyon nahin bante
wo bada kar-saz hai phir bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close