charagh-e-zist sar-e-rahguzar hai kitni der ye raushni bhi sharik-e-safar hai kitni der farar dard se gham se mafar hai kitni der fasil-e-shab ye charagh-e-sahar hai kitni der sawad-e-sham mein aaine kahte jate hain tera ye fan bhi ai aaina-gar hai kitni der zamin pukar rahi hai ai barg-e-khushk tujhe hawa ke raqs mein tu hai magar hai kitni der ragon mein mauj-e-hararat nazar mein barq ki rau darun-e-jism lahu ka bhanwar hai kitni der hamein to shab ke samundar mein gharq rahna hai jamal-e-subh-e-tarab mo'atabar hai kitni der ramida waqt ke manzar badalte rahte hain hawa ka qahr bhi sukhe shajar hai kitni der meri hayat bhi mujh se bichhadne wali tera wajud bhi pesh-e-nazar hai kitni der kisi bhi mod pe mujh se juda to hona hai mera junun mera ham-safar hai kitni der