wo lafz tir bana kar kaman bharta hai jo kan khinchne walon ke kan bharta hai unhi ki aankh mein marta hai dub kar dariya ki jin ki pyas ka pani jahan bharta hai maraz ilaj se badhta gaya to hum pe khula tabib-e-ishq to apni dukan bharta hai sitare bante hain jab sham tod de suraj yahin se jholi tera aasman bharta hai koi batae use haal taki laut aae ki tera qarz tera khandan bharta hai khala ugalti hai sayyare teri rahon mein tu hausle se jo khali udan bharta hai falak se kuchh bhi utarta nahin yunhi 'shahid' zamin-zad zamin ka lagan bharta hai