yun to us ki wusaton mein kya nahin wo samundar hai magar gahra nahin ghat gaya sab zor-e-sailab-e-junun karb ka dariya magar utra nahin dusron se nisbaton ka kya sawal mera khud se bhi koi rishta nahin dekhta hun jo wo karta hun raqam main khilaf-e-saneha likhta nahin main samundar wo sulagta dasht hai mere jaisa mera ham-saya nahin hum zamin wale hi shar-angez hain aasman se koi shar utra nahin qatilo ye munsifon ka shahr hai khun mahnga hai yahan sasta nahin mere jism-o-jaan pe us ka ikhtiyar main ne jis ka aks bhi dekha nahin mujh pe bhi utra sahifa dard ka main bhi tujh jaisa hun tu tanha nahin