charagh khud hi bujhaya bujha ke chhod diya wo ghair tha use apna bana ke chhod diya hazar chehre hain maujud aadmi ghaeb ye kis kharabe mein duniya ne la ke chhod diya main apni jaan mein use jazb kis tarah karta use gale se lagaya laga ke chhod diya main ja chuka hun mere waste udas na ho main wo hun tu ne jise muskura ke chhod diya kisi ne ye na bataya ki fasla kya hai har ek ne mujhe rasta dikha ke chhod diya hamare dil mein hai kya jhank kar na dekh sake khud apni zat se parda utha ke chhod diya wo tera rog bhi hai aur tera ilaj bhi hai usi ko dhund jise tang aa ke chhod diya wo anjuman mein mila bhi to us ne baat na ki kabhi kabhi koi jumla chhupa ke chhod diya rakhun kisi se tawaqqoa to kya rakhun 'shahzad' khuda ne bhi to zamin par gira ke chhod diya