sham-e-be-mehar mein ek yaad ka jugnu chamka aur phir ek hi chehra tha ki har-su chamka ai charagh-e-nigah-e-yar main jaan se guzra ab mujhe kya jo pae dil-zadagan to chamka roz milte the to be-rang tha tera milna dur rahne se tere qurb ka jadu chamka dil mein phir bujhne laga zabt ka tara koi phir meri nok-e-mizha par koi aansu chamka taj-e-khusraw ki chamak mand padi jati hai shahr ke kucha-o-bazar mein lohu chamka kho gaya hai unhi tarik khalaon mein kahin wo bhi kya chand tha jis se mera pahlu chamka main ne jaana ki 'farasat' koi gham-khwar aaya aks-e-mahtab kuchh is tarah lab-e-ju chamka