mere simte lahu ka istiara le gaya koi mujhe phaila gaya har-su kinara le gaya koi bas ab to mangta phirta hun apne aap ko sab se meri sanson mein jo kuchh tha wo sara le gaya koi badan mein jo khalaon ka nagar tha wo bhi khali hai meri tahzib ka tanha manara le gaya koi jahan se bhag nikla tha wahin patthar hua aakhir mujhe sanson ki sarhad tak dobara le gaya koi azal se ab talak mujh ko ishaare kar raha tha jo shab-e-na-ashna se wo sitara le gaya koi