charaghon ka kaleja bhun rahi hain hawaen dard kis ka sun rahi hain bahut masruf hain sansen hamari abhi jine ki chadar bun rahi hain ye udti rang-birangi titliyan kya shagufta phul dil ka chun rahi hain pahadi rag jab nadiyon ne chhede uchhalti lahren khud sar dhun rahi hain chamakti bijliyon pe ghaur karna hamare hosh ka nakhun rahi hain