charaghon ka safar hai intizar-e-hasil-e-shab hai lab-e-ju hai

charaghon ka safar hai intizar-e-hasil-e-shab hai lab-e-ju hai
ki hum par bhi andhere paniyon mein raushni karne ka jadu hai

khuli aankhon mein khwabon ka jazira hai khiram-e-aks-e-ahu hai
shab-e-wada hai gesu-e-hawa-e-yakh pareshan hain ki khushbu hai

saba sehn-e-chaman mein aam karti bhi to kis ke qissa-e-jaan ko
haqiqat hai ki sari dastanon mein kahin main hun kahin tu hai

ba-lafz-e-khamushi sare khandar aapas mein mahw-e-guftugu hain aur
siyah mausam zaban-e-sang mein kahta hai dekho aalam-e-hu hai

hawa-e-tund chaak-e-baadban se narm lahje mein ye kahti hai
kisi ka kab bhala in bawle aur sar-phire jhonkon pe qabu hai

mera nala falak ki azmaton se ja mila hai shayad ai 'shahpar'
sahar nam hai faza chup hai ki dhani ghas ke aariz pe aansu hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close