zamin par main udhar wo aasman par jagta hai

zamin par main udhar wo aasman par jagta hai
adhura chand mere sath aksar jagta hai

kabhi jo harf-e-haq meri zaban par jagta hai
sar-e-gardan meri baatil ka khanjar jagta hai

mere ashjar par jab bhi samar aane lage to
mere dil mein kisi tufan ka dar jagta hai

mere atraf mein ek hu ka 'alam hai musalsal
magar ye shor kaisa mere andar jagta hai

laga kar pankh ud jati hai nind aankhon se meri
tera chehra jo aankhon mein utar kar jagta hai

tumhaari rah takte takte furqat ki shabon mein
agar so jaen aankhen to mera dar jagta hai

kisi bhi rut mein tera barf-e-dil pighla nahin hai
ki tujh mein mustaqil koi december jagta hai

koi footpath par sota hai be-fikri se 'sagar'
koi phulon ke bistar par bhi shab-bhar jagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close