sukh chain ho ki dard ye meri zamin hai main hun yahin ka fard ye meri zamin hai jab dekhta hun garmi-e-takhrib har taraf bharta hun aah-e-sard ye meri zamin hai ghaarat-garon ne sabza-o-gul khak kar diye dekho ye udti gard ye meri zamin hai ai rabb-e-amn kaun batae mujhe ki kyon maidan pa-e-nabard ye meri zamin hai wo tera aasman hai mah-o-mehr surkh-ru phulon ke rang zard ye meri zamin hai koh-e-sitam se tere ziyaada hai sanglakh iza-pasand mard ye meri zamin hai sayyargan hain lakh sar-e-asman-e-sher aaen ghazal-naward ye meri zamin hai