dard ko rahne bhi de dil mein dawa ho jaegi maut aaegi to ai hamdam shifa ho jaegi hogi jab nalon ki apne zer gardun baz-gasht mere dard-e-dil ki shohrat ja-ba-ja ho jaegi ku-e-jaanan mein use hai sajda-rezi ka jo shauq meri peshani rahin-e-naqsh-e-pa ho jaegi kakul-e-pechan hata kar rukh se aao samne parda-dar-e-husn mahfil mein ziya ho jaegi jab ye samjhunga ki meri zist hai mamnun-e-marg maut meri zindagi ka aasra ho jaegi intizar-e-wasl karna umr bhar mumkin to hai go nahin malum haalat kya se kya ho jaegi mohtasib aur hum hain donon muttafiq is bab mein barmala jo mai-kashi ho be-riya ho jaegi main abhi se jaan de dunga jo rah-e-ishq mein intiha majnun ki meri ibtida ho jaegi fash raaz-e-dil nahin karta magar ye dar to hai be-khudi mein aah lab se aashna ho jaegi baryab-e-khwab-gah-e-naz hone do use un ki zulfon mein pareshan khud saba ho jaegi maqsad-e-ulfat ko kar lo pahle 'shaida' dil-nashin warna har aah-o-fughan be-muddaa ho jaegi