makan-e-khwab mein jangal ki bas rahne lagi koi na aaya to zinon pe ghas rahne lagi tere wajud ka jab se libas rahne lagi liye diye hue mujh se kapas rahne lagi ye aur baat anokhi si pyas rahne lagi meri zaban pe us ki mithas rahne lagi jhalak thi ya koi khushbu-e-khadd-o-khal thi wo chali gai to mere aas pas rahne lagi gaya hujum liye baz-did naqsh-e-qadam hawa-e-rahguzar bad-hawas rahne lagi zarae jo the mayassar hue ghubar-e-shanakht darun se chashm-e-darun na-shanas rahne lagi abhi ghubar na utra tha sans ka andar utarne ki pas-e-zindan bhadas rahne lagi utar phenk diya jo tha jism-e-bosida sitaron ki koi utran libas rahne lagi zyaada zor lagane se kuchh na ho sakta so aae roz ki halchal hi ras rahne lagi lahad ne daman-e-yakh-basta khol kar rakkha badan mein garmi-e-khauf-o-hiras rahne lagi na jaane andhe kuon ki wo tishnagi thi kya har ek aankh mein jo be-libas rahne lagi bigad jis se ho paida koi bigad nahin so moajize ki mere dil ko aas rahne lagi mughairat se bhari tirgi ke bich 'nawed' ek andaruni ramaq ru-shanas rahne lagi