charche tere khulus ke duniya mein kam na the phir bhi tere karam ke saza-war hum na the hoga koi sharir sa jhonka nasim ka jis ne teri naqab uthai wo hum na the muzmar thin tere jaur mein teri inayaten tere sitam bhi teri nawazish se kam na the us raste pe chhod gaya rahbar mujhe jis raste pe aap ke naqsh-e-qadam na the masumiyat ne jina bhi dushwar kar diya na-karda-kar dil mein kabhi itne gham na the kuchh bojh ban chuki thin teri kam-nigahiyan mahfil mein intishaar ka bais to hum na the 'kausar' ko baryabi ka eazaz mil gaya pahle hi us pe aap ke ehsan kam na the