rashk karte hain shanasa bhi muqabil ki tarah kash koi mere pahlu mein rahe dil ki tarah shayad ek roz mujhe khud se khuda mil jae istada hun dar-e-zat pe sail ki tarah mushk-e-ahu se mahakne laga dil ka jangal yaad ke dasht mein utra jo tu mahmil ki tarah aise bezar mohabbat ke sitam kya kahna pesh aae jo mere shauq se mushkil ki tarah chashm-e-ibrat koi rakhta to dikhate us ko shahr-e-jaan mein kai aasar hain babul ki tarah jabki manzil ne tumhein dhund liya hai 'jauhar' kyon bhatakte ho ab aawara-e-manzil ki tarah