charkh se kuchh umid thi hi nahin aarzu main ne koi ki hi nahin mazhabi bahas main ne ki hi nahin faltu aql mujh mein thi hi nahin chahta tha bahut si baaton ko magar afsos ab wo ji hi nahin jurat-e-arz-e-haal kya hoti nazar-e-lutf us ne ki hi nahin is musibat mein dil se kya kahta koi aisi misal thi hi nahin aap kya jaanen qadr-e-ya-allah jab musibat koi padi hi nahin shirk chhoda to sab ne chhod diya meri koi society hi nahin puchha 'akbar' hai aadmi kaisa hans ke bole wo aadmi hi nahin